Monday, October 31, 2011

a lonely night

rat akeli si tanha si hmse yun kuch baatein krna chahti h ,

hmari khamosi ko apni aazadi samajh kar hmare sapno ko yun churana chahti h ,

roshni ke abhav(kami) me hmari parchayi(saya) ko hmse hi chupa dena chahti h ,

ekmatra dikhti chanda(moon) ki haseen nazakat ko ghane baadal ke saaye mein ojhal kar dena chahti h,

ye katil rat dil ki angdayi ko uski neend samajh kr dhadkano ko hi tham dena chahti h,

aaj ye rat khud(hum) ko khud hi se juda kar ke khuda mein sama dena chahti h.. sama dena chahti h....