Wednesday, May 18, 2011

Ek shayari : Itna

Arz kiya h:
Itni sharam na ho ki khud se hi sharma jao
Itna dar na ho ki khud se bhi ghabra jao
Itna gurur na ho ki kisi se baat na kr pao
Itna gussa na ho ki kisi se pyar na kr pao...

Itna gam na ho ki ansoo tapakna band(khatm) ho jayen
Itni bechaini na ho ki sansein ruk jayen
Itna dard na ho ki dil dhadakna bnd ho jaye
Itna pyar na ho ki jaan nikal jaye......

aadab..

No comments: